THINGS WE MIGHT NEVER SEE... Then, What a present for your EYES??? ~ Way To Live Life

Monday, 7 June 2021

THINGS WE MIGHT NEVER SEE... Then, What a present for your EYES???

Aaj Sunday (6th June 2021) hai... 

So, Aaj subh uthte hi mann me khyal aaya ki, aaj khuch creative krna hai...

Ab maine phle bhi aap sab se apni post (I , Me Or Myself ???) me ye puchha tha ki please bta do mai kis language me post likhu... To uska bhi meri jo gini-chuni audience urf readers hai, ne koi jawab nhi diya...

Tab apne sbhi posts ke views se hi maine ye andaza lagaya ki may be meri audience ko aisi language me post chahiye jo aasani se sbko smjh aa ske... To aaj mai "Hinglish" me ye post likhne wali hu... And shayad ye thik bhi hoga kyonki aaj jo mai aapke saath share krungi wo information "Google" pr search kroge to bulk me hai... But i think iss form me nhi hai ki koi bhi usko aasani se smjh kr implement kr sake...

 To chaliye itni bakwas ho jane ke baad... Aaj ka blog start krte hai...๐Ÿ˜Š


Ancient Names of Moon like "The Strawberry moon" and "The Harvest Moon"... "The June Full Moon" is known as the Strawberry Moon, because it’s the start of berry picking season, when wild berries begin to ripen. Harvest Moon is the full moon that is seen nearest to the time of the autumn equinox.


เคšंเคฆा เคฐे เคšंเคฆा เคฐे เค•เคญी เคคो เฅ›เคฎी เคชเคฐ เค† เคฌैเค ेंเค—े เคฌाเคคे เค•เคฐेंเค—े .... 

เค”เคฐ เคเค• เคธเคตाเคฒ เคชूเค›ेंเค—े - เค‡เคคเคจा เค—ुเคธ्เคธा เค•्เคฏों เคฆिเคฒाเคคे เคนो เคฌे ???

Kya aapko kbhi aisa feel hua ki bina kisi baat ke ya phir baar baar kisi bhi baat pr aapko gussa aane lage... or you feel really irritated or your behaviour becomes cranky and that to without no reason at all...

Kya aapke saath hota hai kabhi aisa??? without kisi reason rona aa jaye ya phir koi past ki baate itne zor se yaad aa jaye... like koi emotional insecurity ho ya kuchh aisa jo mann me dba kr rakha ho & suddenly bahar aa jaye... Kya hota hai kbhi aisa??? 

Means, khud ke baare me aapko bahut khrab feel hone lge... like you feel emotionally very weak... kya hota hai kbhi aisa???

To dhyan se upar dekhiye... ye sari cheeje may be full moon ki wajah se bhi ho sakti hain... Let me explain...

Jab kbhi "Full moon" hota hai ya uske aas paas ka koi din tab hi jyada jhagde hote hain... "Impulsive decisions" le liye jate hai ya phir humare ander jo toxicness hoti hai wo humare behavior ke zariye ya vaani ke zariye bahar aati hai... 

Ab aap puchhoge iska reason??? To wo hai ye "Full Moon" and "Full Moon" effect on us...

Aapne ek baat notice ki hogi jo short-tempered hote hai unko white stone wali ring pehnai jati hai... Taki unka gussa shant ho yani ki unko "Full moon" kam effect kre...

Unka chaand weak hai, aisa kuchh kehte ya phir chaand unhe jyada effect krta hai aisa kha jata hai...

See... I'm not saying that aapki zindagi me jo kuchh bhi kalesh ho rha hai uska reason full moon hai, nhi aisa nhi hai but jab-jab full moon hota hai tab "Chaand" is one of the reason jiski wajah se sbhi kalesh trigger hote hai... So "Chand" is one of the reason...

Ab "Full Moon" aisa kyu krta hai... Isko janane ke liye 

Jab maine "Google Baba" ki help li... To pta chla ki reason kya hai...

To mera "Google Baba" se first question ye tha ki kya really "Full moon" ka humare "Mood swings" hone ke peeche koi role ya haath-pair-nakhun hai???

To mujhe yeh pta lga ki Full moon ka koi hath-pair ya nakun hi nhi... ek tarah se Chand humara "Mann" hi hai... Ye hume tab smjh aayega jaise jab "Full moon/Purnima" hota hai ya "Amavasaya/New Moon" hota hai to uska asar hum pr kaisa hota hai...

Ab iski scientific explanation to ye hi hai jo hum sab jaante ki humari body me 70% water hai and jab full moon hota hai tab oceans itni sari chhalange marte hai & unki tides bhi itni unchi hoti hai to hum to humans hai... Jab oceans pr moon ka itna effect hota hai to obviously hum pr bhi moon ka effect to hoga hi kyonki humari body bhi 70% water hi hai... 

Ab jinko blood pressure ya hypertension problems hoti hai to unki ye problem us time jyada highten ho jati hai... Because ab ek taraf "Gravitational Force" kaam kr rha hota hai & dusri "Full moon" apna effect high krta hai... jo hume irritate krta hai... Ab ye to tha "Scientific reason" That is one thing...

Ab agar according to "Vedic Astrology" mai aapko btau jo mujhe pta lga... 

To usme aisa hota hai ki Vedic Astrology me sbhi planets alag alag cheejon se associated hai... bahut hi beautifully... 

Ab jo "Moon" hai wo humara "Mann" hai... So the moon actually represents our "Mann" jisko hum "Chitt" bhi bolte hai... To jo chitt hai wo apna Moon hai... Ab isliye jo "Full Moons" hote hai, jab moon ke phases badalte hai & tab unka asar jo hum pr dikhta hai... then we have very very loud emotions...

Tab phir without reasons lagega ki kuchh thik ni hai life me, without reasons kisi se ladai ho jayegi... Aisa sab ho jata hai... 

So, Full moon jab hota hai na... Tab bhot sari cheeje humare ander hoti hai, humare "Chitt" pr hoti hai, jo humne dba kr rkhi hoti hai ya keh lo bahut sari desires hoti hai, Guilt hota hai, Pain hota hai... Ab Full moon ka kaam kya hai na wo in sab ke upar light daal deta hai... Jisse humare sbhi emotions bahar aa jate hai...

Ab aapko wo bhi dekhna padega jo aapko achha nhi lagta means ab aapko un sbhi emotions ko bhi deal krna padega jinko aap ne side me hta kr rakha tha ya phir khud me kahin dba kr rakha tha... 

Ab wo sab to painful hoga hi na, ek nhi to dusri tarah se... 

Ab jo "Catharsis" word hai jiska simple words me meaning ye hai ki "humare ander dabe emotions ka bahar nikalna"... 

Ab ek "Cathartic effect" hota hai har full moon ka to usse jo emotions humare bahar aate hai or its necessary ke sbhi achhe se bahar aa jaye, usko hum properly deal kre & treat kre and un emotions ko jana hai to chle jaaye taki naye emotions ke liye jagah bane and ek road create ho for forward movement of growth....

And now the question is how to take it as a healing process rather than getting as a grilling process or like a hell... hell...

Ab iske liye na mai ek analogy use krti hu jo mujhe ye study krke smjh aaya ki agar hume full moon ke scientific and vedic reasons pta ho to kaise hum isse deal kre...

Ab ye analogy mai bhot sare concept or cases ke liye use krti hu... To analogy ye hai ki jab hum kisi "New Path or Road" se gujarte hai jo hume pta nhi hoti... Means hum unknown hai us raste se... To us road pr agar koi pothole yani gaddha aaya and aap full speed me ja rhe hai to aapko to nhi pta tha ki wha pothotle hai... To jab aap pothole ko hit krte ho to aapko bahut zor se chot lagegi, injuries ho jati hai and jo bhi aapka vehicle hai... wo bhi khrab ho jata hai & balance hil jata hai...

Ab wo kyu hua??? Kyonki na hi to aapko road ka pta tha & na hi pothole ka... Lekin ab agar aap dobara us hi road se baar baar jate hai... to ab aapko pta hai ki sadak kaisi hai & pothole kha hai... To ab aap kya krenge us road pr aane pr... pothole aane pr apna vehicle slow kr lenge, aap apna balance bna lenge, ho sakega to pothole se thoda side se nikalne ki try krenge & agar bilkul uske upar se hi jana pda to slowly se apna vehicle pothole pr se cross krenge jisse khud ko & vehicle ko least injury ho & bachav ho jaye...

Similarly, having knowledge of full moons... Means jab hume yeh pta lag gya hai ki full moons ke time mere moods aise ho sakte hai, over react kr sakta hai... Ya kisi samne wale ke mood swings bhi ho sakte hai... To instead of judging yourself.... Instead of judging the other person...

Agar hum aisa keh kar khud ko treat kre ki nhi ye time hai, ho sakta hai hume aisa feel & hum humare emotions ko easily chale jane de... To ye process "Aisa Kyu hai" ki jagah ek "Healing Process" ban sakta hai... 

So, don't' say why it becomes or why me??? No... Now it has to be... Right... because here it is needed... Okay...

Ab mere sath ye bhot baar hota hai... Maine "Full moon" effect observe bhi kiya hai... Kabhi-kbhi handle kr leti hu... But kbhi-kbhi nhi ho pata... To kya aapne kbhi aisa socha ya notice kiya ho to bhi jarur btana...

So, blog read krne ke baad btana jarur kaisa lga ya koi doubt ho to comment box ke zariye bta sakte ho... Waise mai janti hu meri audience ko "Na hi kuchh puchhenge & na hi kuchh suggest krenge"... It's Okay... Read kr lena... Wo hi kafi hai...



THANK YOU SO MUCH!!!

Read it, experiment it, accept it, own it and please do SHARE it with one and all!!!

Reference : Original Research Article - Moon & Mood : The MoMo Effect
(Note: Maine iss Research article se only wo hi facts use kiye hai jo mujhe lga ki mujhe aapse share krne chahiye... Baki bakwas meri apni hai... Article me search krne ka ksht na karen๐Ÿ˜†... Waise apni knowledge ke liye research article read krna chahe to kar sakte hai...)


1 comment:

Featured post

เค–ुเคถ เค•ैเคธे เคฐเคนें ? How to be happy?

เคช्เคฐเคธเคจ्เคจเคคा เค•ो เคธंเคคुเคท्เคŸि เค•े เคฐूเคช เคฎें เคชเคฐिเคญाเคทिเคค เค•िเคฏा เคœा เคธเค•เคคा เคนै। เคฏเคน เค…ंเคฆเคฐ เคธे เค…เคชเคจे เค†เคช เค†เคคी เคนै, เค•ोเคถिเคถ เค•เคฐเคจे เคธे เคจเคนीं। เค…เค—เคฐ เคนเคฎ เคธोเคšเคคे เคนैं เค•ी เค‡เคธเค•े เคฌाเคฐे เคฎें ...

Popular Posts